Chasm-e-Num Jaan-e-Shooreeda Kafii Nahee
Tuhmat-e-Ishq Poosheeda Kafii Nahee
Aaj Bazaar Main Pa Bay Joolaan Chaloo
Dast Afshaan Chaloo, Must-o-Raqsaan Chaloo
Khakh Barsar Chaloo, Khun Badamaan Chaloo
Rah Takta Hai Sub Shaher-e-Jaanan Chaloo
Hakim-e-Shaher Bhee, Mujma-e-Aam Bhee
Teer-e-Ilzaam Bhee, Sang-e-Dashnaam Bhee
Subh-e-Nashaad Bhee, Rooz-e-Na Kaam Bhee
Unn Ka Dum Saaz Apnay Siwa Kun Hai
Shaher Jaanan Main Ab Ba Sifaa Kun Hai
Dast-e-Qatil Kay Shayaan Raha Kun Hai
Rikhat-e-Dil Bandh Lou Figaroo Chaloo
Phir Humeain Qatl Hou Aaieen Yaroo Chaloo

