jab se tu nay mujhey deewana bana rakha hai
sung her shaKhz nay hathooN maiN uThaa rakha hai
us ke dil par bhi karree ishq maiN guzree hogee
naam jis nay bhi mohabbat ka saza rakha hai
pattharooN aaj mere sir pay barastey kyuN ho
maiN nay tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai
abb mere deed ki dunya bhi tamashai hai
tu nay kia mujhko mohabbat main bana rakha hai
pi ja ayyam ki talKhee ko bhi hans ke "Nasir"
Ghum ko sehney maiN bhi qudrat nay maza rakha hai.....


