Meray wehm ghumaa'n se bhi zyada toot jata hai
ye dil apni hado'n mai reh k itna toot jata hai
mai ro'oon to dar o deevar mujh pe hansne lagte hain
hansoo'n to merey andar janay kya kya toot jata hai
mai jis lamhay ki khaahish mai safar karta hoo'n sadyo'n se
kahe'n pa'oo'n talay aa kar wo lamha toot jata hai
merey khabo'n ki basti say janazay utthtay jate hain
meri aankhain jisay chhoo lain wo sapna toot jata hai
na janay kitni muddat say hai dil mai ye amal jari
zara si thhais lagti hai, zara sa toot jata hai
muqaddar mai meray SAGAR shikast e raikht itni hai
mai jisko apna keh doo'n wo sitara toot jata hai


